0% found this document useful (0 votes)
7 views4 pages

Script Title Main

The script 'Abbu Ka ATM' revolves around Zaid, a 24-year-old lazy young man, and his hardworking father, Mr. Aslam. Zaid's irresponsible spending habits and reliance on his father's financial support lead to a realization of his selfishness when he learns about his father's struggles. In the end, Zaid decides to take responsibility and support his father instead of being a burden, marking his growth and maturity.

Uploaded by

shayaan456.shams
Copyright
© All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
7 views4 pages

Script Title Main

The script 'Abbu Ka ATM' revolves around Zaid, a 24-year-old lazy young man, and his hardworking father, Mr. Aslam. Zaid's irresponsible spending habits and reliance on his father's financial support lead to a realization of his selfishness when he learns about his father's struggles. In the end, Zaid decides to take responsibility and support his father instead of being a burden, marking his growth and maturity.

Uploaded by

shayaan456.shams
Copyright
© All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd

Script Title: "Abbu Ka ATM"

Characters:

Zaid: 24 saal ka sust larka.

Abbu (Mr. Aslam): Ek mehnat kash baap.

Ammi: Zaid ko laad-pyaar se bigadne wali maa.

Farhan: Zaid ka dost jo naukri karta hai.

Scene 1: Zaid ka Kamra (Subah 11 baje)


(Kamra bikhra hua hai. Zaid bed par leta mobile chala raha hai. Ammi nashta lekar aati hain.)

Ammi: Zaid beta, uth jao. Dekho 11 baj gaye hain. Nashta thanda ho raha hai.

Zaid: (Bina dekhe) Ammi rakh dein mez par, kha loon ga. Raat ko gaming mein dair ho gayi thi.

Ammi: Beta, tere Abbu subah 8 baje nikal gaye thay. Unho ne pucha tha ke aaj koi interview hai tera?

Zaid: (Chir-chira kar) Ammi abhi kal toh ek jagah CV di hai. Ab kya roz roz jaon? Aur waise bhi, itni garmi
mein kon bhatke ga? Abbu ko kahein thoda sukoon rakhein.

Scene 2 :
Farhan = kaisa hai

Zaid = mein theek tu suna. Aja yar mall chalen kuch shopping karna

Farhan = hai aja chalta hain meine suna hai ocean mall mein discount hai

Zaid = oh wah mujhe bas 2min de abhi le kar ata hon

Farhan = chal sahi hai par jaldi ana

Zaid = (ammi ka pass jata hai) ammi ammi

Ammi= haan bolo beta kiya howa

Zaid = ammi mujhe 10000 rupees chahiye hain

Ammi = (in shock)10000! Ye tu tumhara abbu ka 3 din ki salary hai

Zaid = ammi de den na itna dino baad tu mein shopping par ja raha hon

Ammi = chalo iss dafa de rahi hon par agli dafa nhi don gi

Scene 3: Living Room (Shaam ka waqt)

(Abbu thake hue ghar aate hain. Zaid naye sneakers pehan kar nikalne ki tayari kar raha hai.)
Abbu: Zaid, ye naye joote kahan se aaye?

Zaid: Woh Abbu, Farhan ke saath mall gaya tha. Sale lagi hui thi, sirf 8,000 ke hain. Maine Ammi se paise
le liye thay.

Abbu: (Hairat se) 8,000? Zaid, tumhe pata hai ye meri teen din ki kamayi hai? Poora mahina tum ghar
bethe rehte ho, kam az kam kharch toh kam karo.

Zaid: Abbu, friends mein uthna bethna hota hai. Ab kya purane kapre pehan kar jaon? Sab mazaq urate
hain.

Abbu: Beta, mazaq tab urta hai jab insaan ki apni koi pehchan na ho. Tumhari pehchan abhi bhi mere
wallet se hai. Kab tak chale ga ye?

Zaid: (Gusse mein) Aap hamesha paison ka rona shuru kar dete hain. Theek hai, nahi mangta aage se!
(Zaid bahar nikal jata hai).
Scene 4: Ek Cafe Mein

(Zaid apne dost Farhan se milta hai.)

Farhan: Aur suna Zaid, naye joote kaisa hain? Comfortable hai ya nhi? Wese naukri ka kya bana? Hamari
company mein vacancy hai, bologe toh baat karun?

Zaid: Yaar, wahan salary bohot kam hai. Itne mein toh mera petrol ka kharcha bhi nahi nikalna. Main
soch raha hoon koi apna business shuru karun.

Farhan: Business ke liye investment chahiye hoti hai. Woh kahan se aaye gi?

Zaid: Abbu se kahun ga ke plot bech dein ya loan le lein. Aakhir unka hai hi kaun mere ilawa?

Farhan: (Sanjeedgi se) Zaid, tu bura mat man’na, lekin tu kab tak uncle ko nichore ga? Unki umar ab
araam ki hai, aur tu unpar mazeed karz charhana chahta hai? Sharam kar yaar, thoda bojh tu utha le ab.

Scene 5: Ghar ka Manzar (Raat ka waqt)

(Zaid ghar aata hai toh dekhta hai ke light band hai. Ammi rone wali shakl bana kar bethi hain.)

Zaid: Ammi, andhera kyun hai? AC kyun nahi chal raha?

Ammi: (Rote hue) Beta, tere Abbu ki tabiyat kharab ho gayi thi daftar mein. Woh toh bhala ho unke
manager ka jo ghar chor gaye. Doctor ne kaha hai shadeed thakan aur stress hai. Aur... bijli ka bill itna
zyada aya hai ke tere Abbu ne kaha hai jab tak paise jama nahi hote, AC nahi chale ga.

Zaid: (Thoda pareshan hokar) Abbu kahan hain?

Ammi: Kamre mein hain. Beta, unho ne apni dawai ke paise bhi teri "shopping" ke liye de diye thay. Ab
unke paas agle hafte tak ke liye paise nahi hain.

Scene 6: Abbu ka Kamra

(Zaid dabe paon andar jata hai. Abbu so rahe hain lekin unke sarhane unka purana phata hua wallet
rakha hai. Zaid wallet kholta hai, us mein sirf kuch 10-20 ke note hain aur Zaid ki ek bachpan ki photo
hai.)

Zaid (Monologue/Soch): Main kitna khud-gharaz hoon. Mere paas 8,000 ke joote hain aur mere baap ke
paas apni dawai ke paise nahi. Main bara toh ho gaya hoon, lekin zimmedar kab banun ga?
Scene 7: Final Scene (Agli Subah)

(Zaid tayar hokar nashte ki mez par aata hai. Is baar uske hath mein mobile nahi, balki purana bag hai.)

Abbu: (Kamzor awaz mein) Kahan ja rahe ho Zaid? Paise chahiye?

Zaid: (Niche dekh kar) Nahi Abbu. Aaj Farhan ke saath uske daftar ja raha hoon. Shuruat choti naukri se
hi sahi, lekin aaj ke baad main aapka ATM nahi, aapka sahara ban’na chahta hoon. Ye sneakers main
wapis kar aaya hoon, ye rahe aapke 8,000 rupay. Bijli ka bill jama kara dein.

Abbu: (Muskurate hue, ankhon mein ansu lekar) Aaj mera beta sach mein "bara" ho gaya hai.

(Screen Fades Out with emotional music)

Zaid monologue
baap roti hai, kapra hai aur makan hai... baap nanhe bache ka bara asmaan hai.

Baap hai tu bachon ka sarey sapne hain... baap hai tu bazaar ka sab khilna apna hain.

Baap ka saaya koi 'free pass' nahi ke hum zidd karte rahein aur unki umar usko poori karna
mein ghuzarti rahe. Bahar naye kapron se bara ban'na asaan hai, lekin kabhi ghar ke us purane
khali wallet ko dekha hai?Zimmedari kisi baray ohde ka naam nahi hai... zimmedari tab aati hai
jab aapko baap ki thaki hui ankhon mein araam ki khwahish nazar aane lage. Paisa kamana sirf
zaroorat nahi, un ghissay hue hathon ka shukriya ada karne ka ek tareeka hai. Main toh nikal
para hoon unka sahara ban'ne... aap kab uthenge?"

You might also like