0% found this document useful (0 votes)
5 views4 pages

Time Travel Drama: Past Adventures Unfold

About renal failure report and stuff a 1.5 year ago report

Uploaded by

Muhammad Ali
Copyright
© All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as TXT, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
5 views4 pages

Time Travel Drama: Past Adventures Unfold

About renal failure report and stuff a 1.5 year ago report

Uploaded by

Muhammad Ali
Copyright
© All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as TXT, PDF, TXT or read online on Scribd

Szn no 1 :

Only direction
(Haziq or haris room main bethay huay hain room blkl ganda h dono ki ankhen laal
hain baal bikhray huay shirt k button khulay hue cuff upper hwin saaamne cup main
ciggerete jhar pr pee rakhay hain . Tabhi darwaza khulta hai or Shampy gola khatay
huay enter hota hai dono usay dekhtay haim expressionless

Shampe : buddy!! kya yar tum log abhi bhi ciggerete main buzy ho , or muh soja kr
bethay ho , 5 din ho gaye hain un baaton ko ( Gola chusta hai )

Haziq : yaar shampy plzz abhi nhi


Shampy : buddy !! Tumhe Pata bhi Hai Ki Duniya Mein Kyaa Chal rha Hai ? tum dono
ne news dekhi hai ajki ? Suna hai koi bawal machine washine bnayi hai kisi
scientist ne. Suna hai ! Us se past main travel kr saktay hain ( taunting with eyes
)

Haris : kya bak rha hai bay !!


Shampy : acha !! Meri baat ka yakeen nhi , tum log news to dekho
( koi expression nhi de ga or khud hi on kr dega peechay anker bolnay lag jayegi )

Anker 1: " apko btatay chalen k silaab ki tabahkaaryon main izaafa , silaab se
mutaasra ilaaqon main Shakargarh , okara , Narowal , jhang or chiniot jaise
shohrati illaqay shamil hain. " ( camera haris or haziq ki taraf zoom hota jayega
or flashback aa jayega )

Scene 2
( do Bande mask galay main Laga Kar bike per bethay Hain idhr Udhar Dekh Rahe
Hain )
Ustad : yar aj ka kya szn hai koi murga aya nhi abhi tk
Chota :aj koi bari party haath pag jaye to maza aa jaye
Ustad : han chotay !! Waqayi kaafi time ho gya hai koi murga nhi dekha
Chota : ( aankhen ghoomatay huay aik banday pr nazar prti hai or usay dekhtay
dekhtay bolta hai ) Ustad .... Ustad woh dekho murga !!
(Ustad or chota dono usi ko dekhnay lag jatay hain or dekhtay dekhtay mask upper
krtay hain or bike start krnay lag jatay hain. Haziq well dressed bank se nikalta
hai slowo main or khush khush neechay aa rha hota or bolta hai ya voice over hota
hai k
Haziq : " finally !! Jo mera khwab tha poora hua ab woh ghissi pitti life se
chutkaara mil jayega or full ayaashi ho gi " ( excitement main hota hai Slowmo laga
hota hai or aik dam se awaz ati hai whistle ki) "
Ustad : (whistle)
Chota : ( bike se utarta hai or Gun nikalta hai or bolta hai ) " dekh kakay koi
hoshiyari nhi thk hai ?
Haziq : bhai !! Bhai ap log kon ho ? Or yh kya kr rhay ho ?
Chota : hum log kon hain ? Yh hai ustad or main hun iska chota chal ab bag idhr laa
( chota bag khenchnay ki koshish krta hai )
Haziq : bhai !! Choro mainay apka kya bigara hai
Chota : aby de idhr
( thori si hathapayi k bad chota haziq k sir pr bandook rakh deta hai or haziq
still ho jata hai )
Chota : ( cheekta hai or bag chor kr cheekhtay huay kehta hai )
baat tujhay aram se samjh nhi ati , yh dekh rha hai , isay Katta boltay hain , or
is se nikli hui aik goli bhejay k aar paar ho jaye to fr banda seedha...
( upper ka ishara krta hai , or aankhon main aankhon daal kr bag le le leta hai or
uski taraf taraf dekhtay ulta chalta hai or bike dekh kr us pr beth jata hai )
Haziq : (dara hua aagay jata hai aahista aahista bike ki taraf or fr se request
krta hai k )
Haziq : " Plz yh mat kro , yh kaam mere liye bht maani rakhta hai bhai !! " bhai
bhai bhai !!! Shittt !!! ( fr neechay sar pakar kr beth jata hai )
Scene no : 3
( Haris + Hania ) garden main sath baat krtay huay jaa rhay hotay hain
Haris : hania ! Tum ne ghr walon se baat ki phir ?
Hania : listen Haris !! Yaar mama se baat ki thi and she u know what she agreed
with me lekin... ( Pause )
Haris : han !! Lekin kya ?
Hania : lekin baba se abhi nhi poocha u know , my dad !!
Haris : yaar Hania !! ( Pareshan ho jata hai )
Hania : tum bhi na haris , choti choti baaton pr pareshan ho jatay ho. Taqdeer ka
faisla taqdeer pr hi chor do. Relax rho !!
Haris : yaar kesay relax rho. Dekho baat hai simple si , mere parents chahtay hain
k woh jitna jaldi ho sakay apna farz ada kren or hum dono bhi ab bachay nhi rhay .
Hania : acha na baba !! Krti hun baat. Acha ab moood sai kro apna , or tumhen pata
hai na moo latkatay huay bilkul achay nhi lagtay.
( hania idhr udhr dekhti hai or usay golay wala nazar aata hai )
Hania : haris ! Harisss !! Woh dekho golay wala, chalo gola khatay hain wese bhi
mera itnay time se dil kr rha tha
Haris : Kya yaar !! Fr whu bachon walay kaam
Hania : plz plz plz, mera bht dil kr rha hai
Haris: ( phone pr ring hoti hai or phone dekh kr haris kehta hai)
"Acha thk hai yr !! Kha lo gola , main zara call attend kr leta "

( call pr baaten shuru krta hai hania golay walay ki taraf jati hai mur kr haris ko
dekhti hai haris bhi usay dekhta hai or fr woh gola le kr khanay lag jati hai or
haris ko dekh kr apni taraf ishara krti hai haris usay dekhta hai or janay lagta
hai to dekhtay hi dekhtay uski nazar side wali gari pr parti hai or haris ruk jata
hai or usay side dekhnay ko kehta hai )

Slowmo szns
Haris : Hania !! Saamne se hato ( slowmo main )
Hania : ( ko awaz nhi jati or isharay main poochti hai
Kya ? )
Haris : ( dubara se bolay ga )
" saamne se hato peechay se gari aa rhi hai " ( slowmo szn )
Hania : ( jb side pr dekhay to gari ura kr le jayegi ) ( slowmo + Fast )

Screen black
( aasman se clip shuru ho ga or fr neechay hania khoon main latpat gola hath main
ho ga or neechay giri ho gi , haris bhagta hua aayega or usay dekhay hain daray ga
roye ga or fr camera golay pr jayega or szn end )

Scene no . 4
(Flashback khttam or gola se szn start
Gola choos kr Shampy do dafa aankhen matkata hai
Haziq or haris still camera main dekhtay hain depressed or fr News continue rehti
hai peechay se anker ki awaz ati hai)

Anker 1 : Or In illaqon main Nadi naalon ki tughyani ka khadsha hai .allah pakistan
ka Hami o naasir ho!!
Sath hi apko btatay chalen k humaray zaraye se aik ahem khabar ayi hai k [Link]
ne aik bht bara inkishaaf kya hai k unhon ne aik Time machine banayi hai jiska naam
Space X hai . ( Haris or Haziq ka thora thora dheyan jata hai TV pr or news sunanay
lag jatay hain )
Aaiye apko Dr. Zafar k barah e raast Interview ki janib le chaltay hain

Scene no. 5
( Anker 2 papers dekhti hai or set krnay k bad bolti hai )
Anker 2 : Hanji Dr sahab !! Jaise k apki taraf se inkishaf hua hai , k apne aik
Time machine ijaad ki hai jisko apne Space X ka nam dya hai. Or sunanay main aaya
hai k is Space X naami time machine se ap apne guzre waqt yaani Past main jaa
saktay hain.

Dr. " G!! Bilkul ap 1h k liye past main ja saktay hain

Kya yh waqayi haqeeqat hai ? Ya fr yh bhi baaqi baray baray scientist ki jaanib se
kiye huay Daawon ki tarah mehaz shohrat panay k liye aik be bunyaad daawa hai !!
( Anker ki lines k doraan dr k different shots hain )

( Kehka laga kr hasta hai or kehta hai )


jab mainay yh ijaad ki thi to mujhay is baat ka ilm tha k mujhay kaafi jagahon se
Cristicism ka saamna karna paray ga. Or Criticism ku na ho , Aakhir Space X jaisi
koi or cheez aj tak dunya ne dekhi hi nhi hai. Mere 5 saal ki mehnat ke nateejay
main bna hua yh Anokha shahkaar sirf inkishaaf nhi hai , balkay aisi haqeeqat hai
jo aanay wali generations , balkay us se agay wali generations bhi yaad rakhen gi.
Or iska practical use main jald hi dunya k saamne le kr aaon ga.

Anker 2 : iska mtlb k hum jald hi iska istemal dekh payengay ?

Dr : G ! Bilkul ! Kal hi Space X ki inauguration ceremony hai or kal hi poori dunya


k saamne yh saabit ho jayega k mera daawa sacch tha ya baaki baray baray scientists
ki tarah mehaz aik be-bunyaad daawa !!
( yh boltay hi dr seat se uth jayega or peechay se awaazen aayein gi sir , sir ,
sir , one more question , one more question , picture clicks k sounds ayengay moo
pr flashes ayengi or dr kamray se bahar chala jayega )

Scene no. 6
( camera again haris or haziq or ayega , 2 sec k pause k baad ... )
Haziq : tu bhi whi soch rha hai jo main soch rha hun
Haris : lag to whi rha hai
( dono aik doosre ki taraf dekhtay haun muskuratay hain cigerrete ka kash lagatay
hain ) or uthtay hain
Shampy : oe oe oe ... yh tum kya soch rhay ho , or kharay ku ho gaye ? ( pause le
kr shampy process krta hai or fr bolta hai )
Shampy : Buddies , kuch garbad ho jayegi. And dont u think its dangerous ? "
Haris : chup kr shampy !! Ab yhi tareeqa hai sb kuch thk krnay ka
( haris or haziq room se nikal jatay hain or end pr shampy again gola choosta hai
szn end )

Scene no. 7
( jhariyon se jana , deewar taapni , chup chup kr room k bahar pohanchna , taala
torna or ghus jana , dono hairan pareshan ho jayengay room dekh kr )
Haris : o bhai. !!
(Room k andr ka mahol dikhana , haris chair pr bethay ga or Haziq sath khara ho ga
, laptop pr ayega press enter to continue haziq parhay ga )
Haziq : "press enter to continue , continue kr continue kr"
(Haris continue kr de ga )
(Fr ayega mention date , time , and destination Haris parhay ga yh )
Haris : Mention Your time , date and Destination . Dr ne kaha tha k sirf 1h k liye
past main ja saktay hain.
Oeee !! Accident kitne bajay hua tha ? Yad hai ?
Haziq : woh waqt main kesay bhool sakta hun. 5: 15 ..... tu bta teri chori kab hui
thi ?
Haris : woh waqt main bhi kesay bhool sakta hun ? 5: 12
Haziq : Accident 5: 15 pr hua or chori 5: 12 pr. mtlb k...
Haris : Mtlb k 4: 20 ka time set hai , or 5 : 20 pr waapsi !! ( pareshan ho kr
bolay ga , haziq ki taraf dekhay fr haziq haris ki taraf dekhay fr dono cameray ki
taraf dekhengay or fr ungli ka shot ho ga ahista ahista enter ki taraf jata hua jb
press ho jaywga to kuch nhi ho ga dono ki aankhen band hongi )
Haris :

You might also like