Atript Play Transcript
Characters:
Trisha Young girl
Mrs Das Old lady
Boyfriend Boyfriend
Mr Das Old Husband
**script**
Mrs Das: Dekh ke chalo yaha kaafi saamaan se takrake
tumhe chhot na lage, ruko hum light on karta h
Trisha: Kitna sundar kamrah h ye
Mrs Das: ghar ka sabse bada aur sabse sundar kamrah h,
are teeno baccha log is kamreh ke peeche har vakt ladta
rahta ta, par aakhir mai ye abontika baba ko hi mila,
vahi ta teeno maise sabse shaitaan, ye abontika baba ka
kamrah h
Boyfriend: ha
Mrs Das: maaf karna, yaha kaafi dhool h. Kaafi samay se
aise band pada h, ye dekho, rocking chair, dono behene
ispe baithne ke liye har vakt ladta rahta ta, prohmod ko
kabi mauka hi nahi dia, aur dada vo yaha baithe kahani
sunaya karte te, is ghar mai kab subah se shaam hota ta
pata hi nahi chalta, aao ye deko, gramaphone, ye to itna
purana h, pata nahi ye abi chalta bi ya nahi, aajkal aise
cheez milta nahi h
Mr Das: Are aise kaise nahi chalta, kal hi to saaf kia h
Mrs Das: Binoy, saaf karne se cheez chalta h
Mr Das: Nahi chalta, rukho ham chalake dikata h
Boyfriend: Trisha ek minute, uncle aunty bohot acha laga
aap dono se milkar, abontika ka ghar aur uska kamrah
bohot sundar h, par aap fatafat mishti se mila dijiye,
hum tode jaldi mai h, actually hame Birla Museum nikalna
h
Mr Das: Are beta, tum log itna jaldi mai kyu h? Ishko
apna hi ghar samjo, ye kya birla museum se kam h
Trisha: Exactly ham yaha todi dher to ruk hi sakte h
vivaan
Mrs Das: Beta zara isse (to boyfriend)
Mr Das: ye Jaano, poora calcutta mai aisa sheeze ka teen
hi piece ta aur vasco dada khaas abontika baba ke liye
laaya ta, kya Midha, tum bi mehmaano se kaam karata h,
baccha log tum pehle ye bata ki khaayega kya, are tum
sharmata kyu h, hum hi tumhare liye kuch lekar aate h,
aur tumko Abontika baba dekne ka ta na, hum kuch karta h,
aur vivaan, jab tum mu faad ke is kamre ko dekna band
kardo to neeche aajana, neeche basco dada baat karna
Trisha: vivaan… Ye kitna sundar h, iske peeche saadiya bi
h kya mrs das
Mrs Das: Abontika baba ke paas bohot sundar saadiya ta,
tum pehen ke deko shayad tumpe acha lage
Mrs Das: oh , ek min ek aur saree hai jo humko yaad aa
rhaa hai hum lekar aata hai haa
Trisha: (singing abhi na jao chord kar ) This saree is so
irritating Vivan meri help kar doge.
Boyfriend: Bilkul Bilkul agar tumhe saree utarwane ka
shok hai toh abhi aata hu andar.
Trisha: On a serious note Vivan I need your help.
Boyfriend: Trisha tumhe pata hai meri koi female friend
bhi nahi hai aur koi sibling bhi nahi thi mujhe ladkiyo
ke kapdo ke bare me kuch nahi pata hai.. Khud sort karlo
Please
Trisha: Achaa theek hai, waise what do you think about
this house.
Boyfriend: This house right, i mean a typical bengali
house from the 90s also did you look at this gramophone,
I wonder if it really works (starts the gramophone abhi
na jao chord kar starts playing)
Trisha: Ohh damnn nice music right, and it goes with the
vibe too.
Boyfriend: Vibe? Are poore kamre ko dekho aur is music ko
suno do you realise ye kitna spooky hai we’re only inside
because of you.
Trisha: Vivan are you trying to scare me. Aur tum mujhe
Misty ki help karne ke liye blame nahi kar sakte. Kitni
dukh bhari kahani hai unlog ki.
Boyfriend: What dukhbhari kahani hai, Tum hi batao kisi
random restaurant pe ek cute se lunch date par hum hai
and these random housekeepers come to us and doosre
moment hum kaha hai..
Trisha: Abontika ke ghar par, jaha par uski saree try kr
rahi hu aur mujhse theek se ho bhi nahi pa raha
Boyfriend: Abontika. Is ladki ke naam ko sunkar ye toh
pata chalta hai ki ye tumhari jitni khoobsurat toh nahi
ho sakti
Trisha: Tumne uski picture tak nahi dekhi hai how can you
say that. Aur jiske saath…
Boyfriend: Trisha Trisha mujhe ek tasveer ko dekhne ki
zaroorat nahi hai ye batane ke liye ki is duniya ki tum
sabse khooobsurat ladki ho.
Trisha: You know what Vivan, you need to learn how to
flirt.
Mrs Das: Ye saare laye hai tumhare liye. Dekh lo tumpar
Achi lagegi.
Trisha: Dekhhiye Mrs Das kaisi lag rahi hu..
Mrs Das: Bhaloo Khoob shundor, Waise Saree bandhna kisne
sikhaya
Trisha: Woh mai kabhi kabhi college me phen liya karti
thi
Mrs Das: galat bandha hai bangoli saree aise nahi
pehente... aise bandhna tha
Trisha: Ji ha
Mrs Das: Abontika baba, Aise pehenana tha.. Is saree ke
saath ka ye gehna bhi hai tumpar khoob khilega ye, Aree
Boyfriend: Vivan namaste aunty
Mrs Das: Namaskar, Beta tumi yaha kya kar rahe ho, humein
toh laga Binoy tumhe neeche le gaya hoga
Boyfriend: Mujhe neeche jaana tha?
Mrs Das: Haaa woh bola toh abhi
Boyfriend: Theek hai fir mai ye kapde Mr das ko de dunga
Mrs Das: Haa beta.
Mrs Das: Waise iss saadi me lag tum bohot sundar raha
hai, aur yeh rang bhi tum pe khilta hai. Par.. par isme
abhi bhi kuch.. kuch .. tamare baal. Abantika baba baal
aise nhi baandhta tha. ek minute, tumhari saadi. baso.
Hum baba ka baal humesha iss tarah banata tha.
Trisha: aap.. aap mujhe bata dijiye Mrs Das, mai khud
bandh lungi
Mrs Das: bilkul baba ki tarah. Ab yeh pehnadu ya yeh bhi
tum khud hi pehen loge, hain
Trisha: pehna dijiye
Mrs Das: yeh saadi, yeh gehna, aisa lagta hai jese baba
ke baad tumhara intezaar ho rha tha
Trisha: aap bhot yaad krti hai na uska Mrs Das?
Mrs Das: bohot. Wo .. wo tha hi aisa aur bohot uchhal kud
kabhi aaha kabhi vaha… arey unke bina to humara din hi
nhi shuru hota tha. Tumhi jaano, iss ghar ka vakt tha jb
yaha kab subeh se sham hojata tha pata hi nhi chalta tha.
itna uchhal kud, chehel pehel o Ma. Abantika baba, didi
dada sabka chahita.
Trisha: aap kuch keh rahi thi
Mrs Das: hum jaake dekhta hai yeh binoy kaha rehgya
Mr Das: Midaaa
Mrs Das: Lo aagaye
Mr Das: arey Mida, ek cheez dekho na
Mrs Das: eta ki?
Mr Das: arey yeh to vahi tasveer haina jisme tum aur
abantika baba Victoria memorial gaya tha.
Mrs Das: O Ma, binoy yeh.. yeh itna bada tasveer tumko
kaha mila
Mr Das: hmm
Mrs Das: arey dhat, par ab iss tasveer me bichara bacha
kya pehchanega
Mr Das: Arey dekhega toh
Mrs Das: bhaloo, ab kya
Mr Das: ki karto amhi, mishti baba kamre me so rha tha,
hum zyada shor karta to wo uth jaata na
Mrs Das: Theek acche, hum baba ko dekhar aata hai.
Trisha: Iski aankhein aur naak bilkul mere jaisi dikhti
hai, hai na, Abantika?
Mr Das: Tumi jaano abantika Baba bhi khoob hasmukh tha,
sabse samajhdar. Are Probodh Baba toh unke liye sab se
lad jaata tha.
Trisha: Hmm, Probodh, wo kon?
Mr Das: Abantika Baba ka bhai, Bhaskor Dada ko teen
bachhe the. Sabse bada Abontika Baba, phir Probodh Baba
aur Mistri Baba. Mistri Baba college jaana chahta tha.
Tum bhi toh college jaata hoga?
Trisha: Main college mein hoon, lekin Mishti college me
nahi hai?
Mr Das: uske... teenon bachchon ka padhai ghar par hi
hua. Bhaskor Dada ko ghar par rehna pasand tha, toh
bachchon ko bhi aadat lag gaya. Mistri Baba alag tha,
unko khoob pasand tha, bahar jaana, ghumna phirna, dost
banana. Phir ek din achanak se Abantika Baba... chal.
Tumi jaano Jab hum, Arpita, tumko dekha na, toh pata nahi
kyun aisa laga jaise humara Abantika Baba wapas aa gaya
hai.
Trisha: Haan toh, aa gaya hai. Aur aap itni tension mat
lijiye, hum milkar achche se Misti ko convince karenge.
Mr Das: Bhala dekho, hum neeche jaata hai.
Trisha: Mister Das? Avantika..(clicks) ABONTIKA.. So how
do you feel Abontika?Finally in kapdo me Mishti
se..Mishti..Hi Mistri, kaisi ho? Tumhe pata hai, tumse
milne ke liye main itni zyada excited...main itni excited
thi ki main bhool gayi ki main Trisha ki tarah baat kar
rahi hoon. Abontika! Usse pehli baar koi mil raha hai.
Mistri, main jaanti hoon ki kaafi samay se humari baat
nahi hui hai aur jis tarah se ghar par yeh situations
rahe hain... kaise baat karu me agar aise baat karu to
darr jayegi .. Hi Mishti. Mujhe jaise hi pata chala ki
tum mujhe miss kar rahi ho mujhe.. Mein..mein bhaagi
chali aayi Sach kahu toh, mein bhi tumhe bohot miss kar
rahi thi. Woh tumhe yaad hai? Bachpan mein jab tum mere
paas aaya karti thi aur mein jaan pooch kar tumhare ulte
pulte baal bandh deti thi, taaki tum phirse aao mere
paas. Abhi bhi kuch change nahi hua hai. Yeh ghar, yeh
kamra, yeh gramaphone bohot pasand hai na tumhe? Ek kaam
karo tum yeh Gramaphone lo, accha gramaphone nahi iski ek
disc rakhlo. Just to prove you ki mein ab tumse gussa
nahi hu. Bas itna kaafi hai
(Young Aunty walks in)
Trisha: Hi, I.. Actually mein Mrs. Das ke saath aayi thi
taaki mein Mishti se… Mishti? Tumhe pata hai Mishti mein
tumse milne ke liye yahan pe bohot der se wait kar rahi
thi aur mein… Mrs. Das?
Mrs Das: Abontika!
Trisha: Mrs. Das? Aap, aapke kapde aapke baal aap bohot…
Mrs Das: Hato mere raaste se
Trisha: I can’t believe aap itna pyaar karti hain humse.
Aapko pata hai aapke just aane se pehle mein reherse hi
kar rahi thi ki jab mein Abon.. oh sorry jab mein Mishti
se milungi toh mein usse kaise baat karungi, mein, mra
phone yaha rakha tha Mrs. Das
Mrs Das: Ki?
Trisha: Vivaan leke chala gaya, mein Vivaan ko bol deti
Mrs Das: Abb ye kon Vivaan?
Trisha: Mein kuch samjhi nahi Mrs Das, yeh aap
Mrs Das: Abontika BAS. Tumi pagal aage chho? Ha? Itha roz
ka. Har baar ek naya kahani. Orr ye kaam dhandha chhodo
aur bas tumhare peeche daudo.
Trisha: Mein.. aap yeh kya keh rahi hain Mrs. Das?
Mrs Das: Roz roz apne Maa Baba ka matha kharab karta hai
tumi. Bas bohot ho gaya
Trisha: Mrs. Das aap yeh kya keh rahi hain mein Maa Baba?
Mrs Das: Mrs Das? Ki boli tum. Matlab apne maa ko mrs Das
bulayega? Khoob bhalu
Trisha: Aap bohot zyada bol rahi hain Mrs Das, mein
samajh nahi paa rahi hu aap yeh
Mrs Das: Bohot zyada? Kyu Abontika? Tumhe haad malum hai
Trisha: Abontika? Mera naam abontika nahi hai mera naam
Trisha hai
Mrs Das: Arre Trisha? Toh aaj tumhara naam Trisha hai.
Trisha kya? Trisha Chatterjee?
Trisha: Trisha Sahai mrs Das, aapko pata toh hai
Mrs Das: Trisha Sahai… toh aaj tum kidhar ka rehne wala
hai Trisha Surname
Trisha: Mein Delhi se hu
Mrs Das: Oh Maa, Tumhara Maa bhi Delhi gaya hai aaj tak?
Trisha: Mrs Das aap yeh kya keh rahi hain? Aapke kapdo ke
saath aapke tewar tak badal gaye hain. Mujhe samajh nahi
aa raha yeh aap
Mrs Das: Abotika ! tumi pagal aage chho? Hain? Ki hue.
Yeh kya natak laga rakha hai? Ek min, aur yeh Vivaan kaun
hai? Ab naye ladko se bhi chakar shuru ho gaya? Bhai
kaafi nahi tha haan?
Trisha: ye aap kya keh rahi hai mrs das, mujhe lagra hai
aapka dimag kharab ho gaya hai aap please mr das ko bula
lijiye.
Mrs Das: Abontaki ! Ye apna dood piyo aur chup chap so
jao.
Trisha: mujhe nahi peena hau dood aap please mr das ko
bulaiye mr das aap…
Mr Das: arre tumne sulaya nahi isko abhi tak.
Trisha: ye aap dono milke kya game khelre hai mere sath,
ye kapde aur ye..
Mr Das: arre ye dood ka gilas rakhe rakhe thanda ho gaya
hai ( Trisha : ye aap log kya karre hai mere sath), dawai
kese lega apni.
Trisha : Ek minute me aapse puch ri hu.
Mrs Das: bas, ham thak gaya hai, iss gharko aur iss ldki
ko sambhalte hue, ham batara hai na ham ek din sachme
yaha se
Mr Das : Tum chinta mar karo, Dr. Bose ko aana thana, hum
bol diya hai jaldi aajaega.
Trisha: kya doctor !? Mujhe kisi doctor se nahi hai Mr
Das, Mr Das! Mujhe kisi doctor se nahi milna hai Mr Das!
Mr Das: bilkul chup!! Avantika ham ye roz roz nahi jhel
sakta hai, pata nahi kis galti ka saza milra hai hamko,
har roz mera khudka bachha meko pehchanne se mana krdeta
hai. Aur kya kya krega tum, kabhi socha hai hamne kya kya
kiya hai tumhare liye. Bachpan se lekar aaj tak har galti
ko mana hai tumhara, har galti ko maaf kiya hai, jo
maanga sab laake diya hai beta. Ye sheesha, Iss ek
sheeshe ko lane ke liye kitna mehnat kiya tha. Aur tum,
arre tumhare karan aas pados me aaj muh nahi dikha sakte
hai ham, tumko bahar jaana pasand nahi tha na, to tumhara
padhai likhai ka intezam ham ghar me hi karaya bina kuchh
puchhe. Mishti ko bahar kaana chahta tha, pramod aur
mishti ko bhi ghar me rehna pada, tumhari wajah se. aur
hamara karz, wo kese utara tum, apne bhai ke sath
sambandh banakar, arre apne sath sath, pramod ka zindagi
bhi barbaad krdiya. Durga ma ke liye hamko aur preshan
mat kro avantika, hamko chain se jeene do. Wrna hamare
sath bhi tum wahi krega, jo tum apni behen ke sath…
Mrs Das: ruk kyu gae bharadwaj, arre isse bhi to pata
lagna chahiye isne kya kiya hai, arre jo bolna ko koi
soch bhi nahi sakta, wo ye kor ke baitha hai. Hamara
mishti, itta chhota sa bachha ko isne behrehmi se maar
dala. Shetaan ho tum avantika, shetaan ho..
Trisha: bas kijiye, ye aap kya kahe jari hai, kitni ajeeb
family hai aaplogo ko, mera sara ka sara samaan mere
kapde, pata nahi kaha chhupa ke rakh diye aaplogo ne. Why
are you doing this to me, Mrs Das I had only good
intentions, yaha tak main avantika banne ke liye bhi
taiyar ho gai.
Trisha: aap mujhe hi abontika bol rahi hai?! Mein aap
logo ki help karna chahti thi, aur aap log- aap log. I’m
just 22 years old, mein abhi toh Delhi se aayi thi aur
mein-
Mrs Das: ektoh yeh dilli dilli
Trisha: mein- aur aapne yeh- mujhe yaha nahi rehna, mera
dum ghutt raha hai iss kamre mein. Mei aapko aur nahi
bata paungi. Mein- mein yaha nahi reh sakti, aap please
Vivan ko bula dijiye, mein yeh sambhal hi nahi paungi aap
please Vivan ko bula dijiye, mein yaha reh hi n-
Mrs Das: abontik-
*Doc enter*
Trisha: Vivaan! Vivaan you were right to call these
people *inaudible*, mei kabse inhe samjhane ki koshish
kar rahi hu ki mein abontika nahi hu mei abontika nahi
par yeh log *starts rambling*
Boyfriend: areh calm down calm down. Chaterjee kitni baar
bolega aapko ki time se bula liya karo. Dekho bichare
bacche ka kya haal hai. Iski dawaai diya aap isko? Nahi
diya hoga. Tension mat lo thike
Trisha: Vivaan? Tum - tum bhi?
Boyfriend: itna stress nahi lena, iska blood pressure
leta hai. Aur yeh kya gaana chala ke rakha hai
[Link], apna favourite music nahi chalana, tumhara
favorite music chalayega jo tumhe last session mein sabse
zyada pasand aaya tha, kyu!
Trisha: yeh gaana-
Mrs Das: areh koi chup karao isse
Boyfriend: ma’am Chaterjee ma’am kitni baar kaha hai
aapse bache se pyaar se baat karna chahiye- hein? Ab
dawai to de hi rahe hai- de rahe hai dawaai? Areh maa
apne bache ka khayal nahi rakhega toh kaun rakhega?
Trisha: kya maa, kya dawaaiyan? Kay bole jaa rahe ho
Vivaan? You’re a liar.
Boyfriend: last session mein tumne humko bola hai ki agar
tum kisiko trust karta hai toh woh hum hai abontika- hein
Trisha: abontika? Mera naam abontika nahi hai! Mera naam
trisha hai mein tab se sabko bata bata ke thak gayi hu-
Boyfriend: shaant shaant calm down calm down. Tum humko
jaanta hai na? Trust? Aao yaha baith jao.
Trisha: Mujhe nahi baithna yaha pe vivaan, Mera phone
kaha hai? Mujhe mera phone laa do
Boyfriend: tumhara phone mere paas hai
Trisha: obviously tum logo ke paas hai! Tum logo ne hi
mera saara ka saara samaan chura liya liya, Pata nahi
kaha rakha hai aur mujhe iss kamre mein bandh kardiya aur
mein- mein
Boyfriend: Madamji, injection dijiye.
Trisha: kya- kya injection?
Boyfriend: you don’t need to worry-
Trisha: nahi nahi mujhe koi injection nahi chahiye mein
pakka baith jaungi Vivaan, please mein- mein
baithjaungi-please-
Boyfriend: ma’am rehne dijiye. Baitho. Aao chalo baat
karenge thike? Dekho ab tum doctor ki baat maano aur yeh
dawaai kha lo. Fatafat lo chalo
Trisha: mujhe koi dawaai nahi khaani Vivaan mujhe yaha se
bahar nikalna hai please-
Boyfriend: bahar nahi jayega tum. Sirf ice cream wale ke
paas jayega last time abhi teen din ke andar gaya tha na?
Chalo abhi fatafat-
Trisha: Koi dawai nhi khani vivan , mujhe bs yaha se
bahar nikalna hai pleaseee
Boyfriend: (_____)
Trisha: nhi mujhe dawai nhi khani hai
Boyfriend: ha ha shant , dawai nhi khani injection nhi
lagwana sab rakh denge yeah dheko rakhdiya , drawer band
, as friends baat karenge ..thik hai thik hai ..(he again
continues) toh hum, hum subah cafe gaye the na kaha pr
gaye the , paligangh mein gaye honge
Trisha: tum hi toh leke Gaye the vivan tumhe toh pata hai
Boyfriend: roj jate hai , ab ab cafe gaye the toh kuch
khaya bhi hoga , kya khaya tha kuch liya tha ?? ... accha
sab kuch hatao tum humko ek baat batao yeha konsa
Trisha: 2020 vivan tum mujhse yeah kyu sawal kr rahe ho,
mujhe pata hai
Boyfriend: Mr. Chatterjee aapka baccha 40 saal aage chal
raha hai , dheko yeah wala dawai tumhare baba pichle
mahine leke aaya tha iski expire dates padho
Trisha: 1980 yeah plan hai tum logo ka mujhe expired
dawaiya khilane ka
Boyfriend: tumhare against plan kyu karenge ? Accha sab
kuch hatao .tumhare maa baap ne Maan liya .. Yeah jo ghar
hai yaha pe tum baitha hai yeah kaha pr hai ?
Trisha: mujhe stress ki wajah se yaad nhi aa raha hai
vivan
Boyfriend: Tabhi toh baccha tumhe ka raha hai ki dawai
kha lo , you don't remember everything, this is not the
first time .
Trisha: aree kya dawai mujhe koi dawai nhi khani hai yeah
kya dawai laga ke rakha hua hai , mujhe is kamre mein
bula ke yeah kapde pehanake , thodi taaref kya krdi mujhe
hi utla seedha bolne lag gaye , muje toh lagta hai yeah
saari stories ek prank hai kon apni behen ko maarta hai
or kon apne bhai ke saath aisa ganda relationship banata
hai , or in sab cheezo ke liye aap mujhe blame kr rahi
hai or yeah vishi yeha vishi hai bhi ki hai hi nhi kb se
aap log bole jaa rahe hai , mujhe kuch smj nhi aa raha
hai vivan , mujhe yaha se bahar nikalna hai mujhe toh
yeah bhi nhi pata ki tum log yaha ke maalik ho yaha ke
Gardner ho , tum log ho kon ? Khud ko mera maa baap bolne
se mere maa baap nhi ho jayoge , or khud ko mera doctor
bolne se mere doctor nhi ho jayoge or mujhe Avantika
bolne se mein Avantika nhi ho jayungi
Maine phirse kuch kiya kya , I am sorry maa mein jaanbhuj
ke aisa nhi krti
Trisha: Pata nahi kyun mera dimaag pe mera control nahi
rehta hai, main I'm sorry, Maa main sab janti thi maine
kya kya kiya hai I am really sorry. Dr. Bose, aapko pata
hai na ki main kitna improve hui hoon pehle se. Main
sabse zyada aapko hi trust karti hoon. Aap Maa ko bolo ki
main pehle se bahut acha kar rahi hoon. Main main ab se
kabhi aisa nahi karungi. Main jaan ke karti hoti toh main
nahi karti. Main aapko…..
Mrs Das: Ki bola tum? Jhoot bol raha hai na tum? huh?Abhi
ek minute pehle tum apne aap ko trisha bol rha tha aur
abhi tum jhooth bol rha hai
Trisha: Main Jhoot nahi bol rahi hoon Maa, main abontika
hi hoon.
Mrs Das: Hum tumhare upar vishwas kyu karein huh? Tum
jhooth bol rha hai(x2)
Trisha: Main kabhi aaj se bahar jaane ki baat hi nahi
karungi Maa, aapko pata hai, main sach bol rahi hoon Maa,
please.
Mrs Das: Toh, toh, toh kon ho tum?
Trisha: Abantika.
Mrs Das:ki?
Trisha: Abontika,
Mrs Das: Abontika, aur, aur hum log tumhare kya lagta
hai, haan?
Trisha: Maa, Baba, Dr. Bose.
Mrs Das: Probodh? Uske saath kya kiya tum?
Trisha: Maine
Mrs Das: Sharam nahi aaya tumko? Haan? Sharam nahi aaya?
Apne bhai ke saath koi aisa rishta banata hai? Aur
Mistri? Us, us bechare bachhe ke saath kya kiya? Usse
maar dala? Apne chhote bhai ko maar dala Abontika? Bolo,
bolo tumne apne chhote bhai ko maar dala? Bolo Abontika.
Trisha: Maine maara hai
Mrs Das: Ki?
Trisha: Hum maara hai
Mrs Das: Chain se so bhi kaise paata hai tum? Saans kaise
le pa raha hai? Bas bahut ho gaya. Hum tumko apne aankhon
ke saamne aise saans lete hue dekh hi nahi sakta
Abontika. Tumhe marna hoga. You bloody deserve to die
Abontika. Tumhe marna hoga. Tumhe marna hoga.
Trisha: Ah! Ah! Ah! Ah! Ah! Chhodo please
Mrs Das: Maro..marna hoga tumhe
Trisha: *dies*
Mrs Das: *breathes heavily, then gets away from the body,
holds her head, walks towards the chair*
Boyfriend: Mr chatterji, aaj thoda zyada ho gaya
Mrs Das: Ki?
Mr Das: aarav, naraz mat ho…yeh aaj tumahara mar aakhri
baar…
Boyfriend: ye humara mar na!, i call her my mother
Mrs Das: bas!
Mrs Das: Ab theek hai
*sits on chair*
Mr Das: aarav?
*aarav gets up and throws the takiya on the bed*
Boyfriend: I’ll come back for the body
Mr Das: aarav?
*aarav leaves*
Mrs Das: Woh takiya humare muh par tha, saans nahi aa
raha tha humko, hum apna saamne apne aap ko marte hue
dekh raha tha, aur humse zinda aur koi tha hi nahi. Tum
aise kaise kar sakta hai, ye galat hai abontika. Agar
pyar galat hai toh woh pyar kaise hai probol? Woh thanda
_____ mein iss sardi ke mausam mein garmi deta hai.
Mr Das: *gives her water, puts his hand on her shoulder
and then on her head*
Mr Das: Abontika..
*Mr Das plays music on the gramophone then stands beside
her*